tuu suuraj hai terii taraf dekhaa nahin jaa saktaa
— Saleem Kausar
Too sooraj hai teree taraf dekhaa nahin jaa saktaa
Lekin dekhne vaalon ko rokaa nahin jaa saktaa
Ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogee yaanee
Ik Dariya men doosree baar utraa nahin jaa saktaa
Ab bhee vaqt hai apnee ravish tabdeel karo varna
Jo Kuch hone vaalaa hai sochaa nahin jaa saktaa
Us kee galee men jaane se use milne se khud ko
Rokaa jaa saktaa hai par rokaa nahin jaa saktaa
Kisee ko chaahat aur kisee ko nafrat maartee hai
Koee bhee ho use marte to dekhaa nahin jaa saktaa
Ek taraf tire husn kee hairat ek taraf Dunya
Aur Dunya men der talak Thahraa nahin jaa saktaa
Tu suraj hai teri taraf dekha nahin ja sakta
Lekin dekhne walon ko roka nahin ja sakta
Ab jo lahar hai pal bhar baad nahin hogi yani
Ek dariya mein dusri bar utra nahin ja sakta
Ab bhi waqt hai apni rawish tabdil karo warna
Jo Kuch hone wala hai socha nahin ja sakta
Us ki gali mein jaane se use milne se KHud ko
Roka ja sakta hai par roka nahin ja sakta
Kisi ko chahat aur kisi ko nafrat marti hai
Koi bhi ho use marte to dekha nahin ja sakta
Ek taraf tere husn ki hairat ek taraf duniya
Aur duniya mein der talak Thahra nahin ja sakta