wo aankhen jin se mulaaqaat ik bahaana huaa
— Saleem Kausar
Wo aankhen jin se mulaaqaat ik bahaana huaa
Unhen khabar hee nahin kaun kab nishaana huaa
Sitaara-e-saharee kaa bharosa mat kiijo
Na.e safar men ye rakht-e-safar puraanaa huaa
Na jaane kaun see aatish men jal bujhe ham tum
Yahaan to jo bhee huaa hai daroon-e-khaana huaa
Kuchh is tarah se wo shaamil huaa kahaanee men
Ki is ke baad jo kirdaar thaa fasaana huaa
Usee sitaare ne bhaTkaa diyaa sar-e-manzil
Safar pe jo miree tahveel men ravaana huaa
Sunaa hai tujh ko to ham yaad bhee nahin aate
Ye imtihaan to nahin ye to aazmaanaa huaa
Hamen to ishq muqaddar hai jaise rizq 'saleem'
So chal paDenge jahaan apna aab-o-daana huaa
Wo aankhen jin se mulaqat ek bahana hua
Unhen KHabar hi nahin kaun kab nishana hua
Sitara-e-sahari ka bharosa mat kijo
Nae safar mein ye raKHt-e-safar purana hua
Na jaane kaun si aatish mein jal bujhe hum tum
Yahan to jo bhi hua hai darun-e-KHana hua
Kuchh is tarah se wo shamil hua kahani mein
Ki is ke baad jo kirdar tha fasana hua
Usi sitare ne bhaTka diya sar-e-manzil
Safar pe jo meri tahwil mein rawana hua
Suna hai tujh ko to hum yaad bhi nahin aate
Ye imtihan to nahin ye to aazmana hua
Hamein to ishq muqaddar hai jaise rizq 'salim'
So chal paDenge jahan apna aab-o-dana hua