wo jo ham rahii kaa guruur tha wo savaad e raah men jal bujhaa
— Saleem Kausar
Wo jo ham-rahi kaa ghuroor tha wo savaad-e-raah men jal-bujhaa
Too havaa ke ishq men ghul gaya main zameen kee chaah men jal-bujhaa
Ye jo shaakh-e-lab pe hujoom-e-rang-e-sadaa khilaa hai galee galee
Kaheen koi sho.ala-e-be-navaa kisee qatl-gaah men jal-bujhaa
Jo kitaab-e-ishq ke baab the tiree dastaras men bikhar ga.e
Vo jo ahd-naama-e-khvaab tha wo miree nigaah men jal-bujhaa
Hamen yaad ho to sunaa.en bhee zaraa dhyaan ho to bataa.en bhee
Ki wo dil jo mahram-e-raaz tha kahaan rasm-o-raah men jal-bujhaa
Kaheen be-niyaazee kee laag men kaheen ehtiyaat kee aag men
Tujhe meree koi khabar bhee hai mire khair-khvaah main jal-bujhaa
Miree raakh se na.ee raushnee kee hikaayaton ko sameT le
Main charaagh-e-sub.h-e-visaal tha tiree khema-gaah men jal-bujhaa
Vo jo harf-e-taaza-misaal the unhen jab se too ne bhulaa diyaa
Tiree bazm-e-naaz kaa baankpan kisee khaanqaah men jal-bujhaa
Wo jo ham-rahi ka ghurur tha wo sawad-e-rah mein jal-bujha
Tu hawa ke ishq mein ghul gaya main zamin ki chah mein jal-bujha
Ye jo shaKH-e-lab pe hujum-e-rang-e-sada khila hai gali gali
Kahin koi shoala-e-be-nawa kisi qatl-gah mein jal-bujha
Jo kitab-e-ishq ke bab the teri dastaras mein bikhar gae
Wo jo ahd-nama-e-KHwab tha wo meri nigah mein jal-bujha
Hamein yaad ho to sunaen bhi zara dhyan ho to bataen bhi
Ki wo dil jo mahram-e-raaz tha kahan rasm-o-rah mein jal-bujha
Kahin be-niyazi ki lag mein kahin ehtiyat ki aag mein
Tujhe meri koi KHabar bhi hai mere KHair-KHwah main jal-bujha
Meri rakh se nai raushni ki hikayaton ko sameT le
Main charagh-e-subh-e-visal tha teri KHema-gah mein jal-bujha
Wo jo harf-e-taza-misal the unhen jab se tu ne bhula diya
Teri bazm-e-naz ka bankpan kisi KHanqah mein jal-bujha