yaad kahaan rakhnii hai teraa khvaab kahaan rakhnaa hai
— Saleem Kausar
Yaad kahaan rakhnee hai teraa khvaab kahaan rakhnaa hai
Dil men yaad phir aankhon men mahtaab kahaan rakhnaa hai
Vo kahtaa hai aakhiree baab-e-ishq mukammal kar len
Aur main soch raha hoon pahlaa baab kahaan rakhnaa hai
Husn kee yaktaa.ee kaa bas itnaa ehsaas hai mujh ko
KaanTon kee tarteeb men ek gulaab kahaan rakhnaa hai
Yaad kahan rakhni hai tera KHwab kahan rakhna hai
Dil mein yaad phir aankhon mein mahtab kahan rakhna hai
Wo kahta hai aaKHiri bab-e-ishq mukammal kar len
Aur main soch raha hun pahla bab kahan rakhna hai
Husn ki yaktai ka bas itna ehsas hai mujh ko
KanTon ki tartib mein ek gulab kahan rakhna hai