aakhirii saans

Shahryar

Sham.a kee lau ne jab aakhiree saans lee Aakhir-e-shab Nigaahon se girne lagee os Pahloo badalne lagee Raah kee jaagtee gard Sone lagee raat Aur khaamushee giit bunne lagee Naqsh-e-be-khvaab chalne lage Haal o maazee kaheen aankh malne lage Manzilon ke nishaan cheekhte rah ga.e Shama ki lau ne jab aaKHiri sans li AaKHir-e-shab Nigahon se girne lagi os Pahlu badalne lagi Rah ki jagti gard Sone lagi raat Aur KHamushi git bunne lagi Naqsh-e-be-KHwab chalne lage Haal o mazi kahin aankh malne lage Manzilon ke nishan chiKHte rah gae