aandhiyaan aatii thiin lekin kabhi aisa na huaa
— Shahryar
Aandhiyaan aatee thiin lekin kabhi aisa na huaa
Khauf ke maare judaa shaakh se pattaa na huaa
Ruuh ne pairahan-e-jism badal bhee Daalaa
Ye alag baat kisee bazm men charchaa na huaa
Raat ko din se milaane kee havas thee ham ko
Kaam achchhaa na tha anjaam bhee achchhaa na huaa
Vaqt kee Dor ko thaame rahe mazbootee se
Aur jab chhooTee to afsos bhee is kaa na huaa
Khuub dunya hai ki suraj se raqaabat thee jinhen
Un ko haasil kisee deevaar kaa saaya na huaa
Aandhiyan aati thin lekin kabhi aisa na hua
KHauf ke mare juda shaKH se patta na hua
Ruh ne pairahan-e-jism badal bhi Dala
Ye alag baat kisi bazm mein charcha na hua
Raat ko din se milane ki hawas thi hum ko
Kaam achchha na tha anjam bhi achchha na hua
Waqt ki Dor ko thame rahe mazbuti se
Aur jab chhuTi to afsos bhi is ka na hua
KHub duniya hai ki suraj se raqabat thi jinhen
Un ko hasil kisi diwar ka saya na hua