aarzoo
— Shahryar
Sote sote chaunk uThee jab palkon kee jhankaar
Aabaadee par veeraane kaa hone lagaa gumaan
Vahshat ne par khol diye aur dhundle hue nishaan
Har lamhe kee aahaT ban ga.ee saanpon kee funkaar
Aise waqt men dil ko hamesha soojhaa ek upaa.e
Kaash koi be-khvaab dareecha chupke se khul jaa.e
Sote sote chaunk uThi jab palkon ki jhankar
Aabaadi par virane ka hone laga guman
Wahshat ne par khol diye aur dhundle hue nishan
Har lamhe ki aahaT ban gai sanpon ki funkar
Aise waqt mein dil ko hamesha sujha ek upae
Kash koi be-KHwab daricha chupke se khul jae