aasmaan kuch bhi nahin ab tere karne ke liye
— Shahryar
Aasmaan kuch bhee nahin ab tere karne ke liye
Main ne sab tayyaariyaan kar lee hain marne ke liye
Is bulandee khauf se aazaad ho us ne kahaa
Chaand se jab bhee kahaa neeche utarne ke liye
Ab zameen kyuun tere naqshe se nahin haTtee nazar
Rang kya koi bachaa hai is men bharne ke liye
Ye jagah hairat-saraa.e hai kahaan thee ye khabar
Yoonhee aa niklaa tha main to sair karne ke liye
Kitnaa aasaan lag raha hai mujh ko aage kaa safar
ChhoD aayaa peechhe parchhaa.een ko Darne ke liye
Aasman kuch bhi nahin ab tere karne ke liye
Main ne sab tayyariyan kar li hain marne ke liye
Is bulandi KHauf se aazad ho us ne kaha
Chand se jab bhi kaha niche utarne ke liye
Ab zamin kyun tere naqshe se nahin haTti nazar
Rang kya koi bacha hai is mein bharne ke liye
Ye jagah hairat-sarae hai kahan thi ye KHabar
Yunhi aa nikla tha main to sair karne ke liye
Kitna aasan lag raha hai mujh ko aage ka safar
ChhoD aaya pichhe parchhain ko Darne ke liye