aise hijr ke mausam kab kab aate hain
— Shahryar
Aise hijr ke mausam kab kab aate hain
Tere alaava yaad hamen sab aate hain
Jaagtee aankhon se bhee dekho dunya ko
Khvaabon kaa kyaa hai vo har shab aate hain
Jazb kare kyuun ret hamaaree ashkon ko
Teraa daaman tar karne ab aate hain
Ab vo safar kee taab nahin baaqee varna
Ham ko bulaave dasht se jab tab aate hain
Kaaghaz kee kashtee men dariyaa paar kiyaa
Dekho ham ko kyaa kyaa kartab aate hain
Aise hijr ke mausam kab kab aate hain
Tere alawa yaad hamein sab aate hain
Jagti aankhon se bhi dekho duniya ko
KHwabon ka kya hai wo har shab aate hain
Jazb kare kyun ret hamari ashkon ko
Tera daman tar karne ab aate hain
Ab wo safar ki tab nahin baqi warna
Hum ko bulawe dasht se jab tab aate hain
Kaghaz ki kashti mein dariya par kiya
Dekho hum ko kya kya kartab aate hain