ajiib saaneha mujh par guzar gaya yaaro
— Shahryar
'ajeeb saaneha mujh par guzar gaya yaaro
Main apne saa.e se kal raat Dar gaya yaaro
Har ek naqsh tamannaa kaa ho gaya dhundlaa
Har ek zakhm mire dil kaa bhar gaya yaaro
BhaTak rahi thee jo kashtee wo gharq-e-aab huee
ChaDhaa huaa tha jo Dariya utar gaya yaaro
Vo kaun tha wo kahaan kaa tha kya huaa tha use
Sunaa hai aaj koi shakhs mar gaya yaaro
Main jis ko likhne ke armaan men jiyaa ab tak
Varaq varaq wo fasaana bikhar gaya yaaro
'ajib saneha mujh par guzar gaya yaro
Main apne sae se kal raat Dar gaya yaro
Har ek naqsh tamanna ka ho gaya dhundla
Har ek zaKHm mere dil ka bhar gaya yaro
BhaTak rahi thi jo kashti wo gharq-e-ab hui
ChaDha hua tha jo dariya utar gaya yaro
Wo kaun tha wo kahan ka tha kya hua tha use
Suna hai aaj koi shaKHs mar gaya yaro
Main jis ko likhne ke arman mein jiya ab tak
Waraq waraq wo fasana bikhar gaya yaro