be taab hain aur ishq kaa daavaa nahiin ham ko
— Shahryar
Be-taab hain aur ishq kaa da.avaa nahin ham ko
Aavaara hain aur dasht kaa saudaa nahin ham ko
Ghairon kee mohabbat pe yaqeen aane lagaa hai
Yaaron se agarche koi shikva nahin ham ko
Nairangee-e-dil hai ki taghaaful kaa karishma
Kyaa baat hai jo teree tamannaa nahin ham ko
Yaa tere alaava bhee kisee shai kee talab hai
Yaa apnee mohabbat pe bharosaa nahin ham ko
Yaa tum bhee mudaavaa-e-alam kar nahin sakte
Yaa chaaragaro fikr-e-mudaavaa nahin ham ko
Yuun barhamee-e-kaakul-e-imroz se khush hain
Jaise ki khayaal-e-rukh-e-fardaa nahin ham ko
Be-tab hain aur ishq ka dawa nahin hum ko
Aawara hain aur dasht ka sauda nahin hum ko
Ghairon ki mohabbat pe yaqin aane laga hai
Yaron se agarche koi shikwa nahin hum ko
Nairangi-e-dil hai ki taghaful ka karishma
Kya baat hai jo teri tamanna nahin hum ko
Ya tere alawa bhi kisi shai ki talab hai
Ya apni mohabbat pe bharosa nahin hum ko
Ya tum bhi mudawa-e-alam kar nahin sakte
Ya chaaragaro fikr-e-mudawa nahin hum ko
Yun barhami-e-kakul-e-imroz se KHush hain
Jaise ki KHayal-e-ruKH-e-farda nahin hum ko