dil chiiz kya hai aap mirii jaan liijiye
— Shahryar
Dil chiiz kya hai aap miree jaan leejiye
Bas ek baar meraa kahaa maan leejiye
Is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar
Deevaar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejiye
Maanaa ki doston ko nahin dostee kaa paas
Lekin ye kya ki ghair kaa ehsaan leejiye
Kahiye to aasmaan ko zameen par utaar laa.en
Mushkil nahin hai kuch bhee agar Thaan leejiye
Dil chiz kya hai aap meri jaan lijiye
Bas ek bar mera kaha man lijiye
Is anjuman mein aap ko aana hai bar bar
Diwar-o-dar ko ghaur se pahchan lijiye
Mana ki doston ko nahin dosti ka pas
Lekin ye kya ki ghair ka ehsan lijiye
Kahiye to aasman ko zamin par utar laen
Mushkil nahin hai kuch bhi agar Than lijiye