dil pareshaan ho magar aankh men hairaanii na ho
— Shahryar
Dil pareshaan ho magar aankh men hairaanee na ho
Khvaab dekho ki haqeeqat se pashemaanee na ho
Kyaa huaa ahl-e-junoon ko ki duaa maangte hain
Shahr men shor na ho dasht men veeraanee na ho
DhoonDte DhoonDte sab thak ga.e lekin na milaa
Ik ufuq aisa ki jo dhund kaa zindaanee na ho
Gham kee daulat baDee mushkil se milaa kartee hai
Saunp do ham ko agar tum se nigahbaanee na ho
Nafraton kaa vahee malboos pahan lo phir se
Ain mumkin hai ye dunya tumhen pahchaanee na ho
Dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
KHwab dekho ki haqiqat se pashemani na ho
Kya hua ahl-e-junun ko ki dua mangte hain
Shahr mein shor na ho dasht mein virani na ho
DhunDte DhunDte sab thak gae lekin na mila
Ek ufuq aisa ki jo dhund ka zindani na ho
Gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai
Saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho
Nafraton ka wahi malbus pahan lo phir se
Ain mumkin hai ye duniya tumhein pahchani na ho