ek aur saal girah

Shahryar

Lo teesvaan saal bhee biit gaya Lo baal rupahlee hone lage Lo kaasa-e-chashm huaa khaalee Lo dil men nahin ab dard koi Ye tiis baras kaise kaaTe Ye tiis baras kaise guzre Aasaan savaal hai kitnaa ye! Ma.aloom hai mujh ko ye dunya Kis tarah vajood men aa.ee hai Kis tarah fanaa hogee ik din Ma.aloom hai mujh ko insaan ne Kis tarah se kee takhleeq-e-khuda Kis tarah buton ko paidaa kiyaa Ma.aloom hai mujh ko main kya hoon Kis vaaste ab tak zinda hoon Ik us ke javaab kaa ilm nahin Ye tiis baras kaise kaaTe Haan yaad hai itnaa men ik din Toffe ke liye royaa tha bahut Ammaan ne mujhe piiTaa tha bahut Haan yaad hai itnaa main ik din Titlee kaa ta.aaqub karte hue Ik peD se jaa Takraayaa tha Haan itnaa yaad hai main ik din Neendon ke dayaar men sapnon kee Pariyon se lipaT kar soyaa tha Haan itnaa yaad hai main ik din Ghar vaalon se apne laD-bhiD ke ToD aayaa tha sab rishte-naate Haan itnaa yaad hai main ik din Jab bahut dukhee tha tanhaa tha Ik jism kee aag men pighlaa tha Haan ye bhee yaad hai main ik din Sach bol ke pachhtaayaa tha bahut Apne se bhee sharmaayaa tha bahut Haan ye bhee yaad hai mujh ko ki main Jab bahut hee be-kal hota tha Ash.aar bhee likkhaa kartaa tha Haan ye bhee yaad hai mujh ko ki main RoTee rozee kee tamannaa men BaDaa khvaar huaa is dunya men Haan aur bhee kuch hai yaad mujhe Magar is kaa javaab kahaan ye sab Ye tiis baras kaise guzre Ye tiis baras kaise kaaTe Ab is ke javaab se kya hogaa Chalo uTho ki sub.h huee dekho Chalo uTho ki apna kaam karen Chalo uTho ki shahr-e-tamannaa men Marham DhoonDen un zakhmon kaa Jo dil ne abhee tak khaa.e nahin Ta.abeer karen un khawabon kee Jo aankhon ne dikhlaa.e nahin Un lamhon ke hamraaz banen Jo ziist men apnee aa.e nahin Chalo teesvaan saal bhee biit gaya Chalo mai chalkaa.en jashn karen Chalo sar ko jhukaa.en sajde men Is umr-e-faromaaya kaa safar Aadhe se ziyaada khatm huaa Lo tiswan sal bhi bit gaya Lo baal rupahli hone lage Lo kasa-e-chashm hua KHali Lo dil mein nahin ab dard koi Ye tis baras kaise kaTe Ye tis baras kaise guzre Aasan sawal hai kitna ye! Malum hai mujh ko ye duniya Kis tarah wajud mein aai hai Kis tarah fana hogi ek din Malum hai mujh ko insan ne Kis tarah se ki taKHliq-e-KHuda Kis tarah buton ko paida kiya Malum hai mujh ko main kya hun Kis waste ab tak zinda hun Ek us ke jawab ka ilm nahin Ye tis baras kaise kaTe Han yaad hai itna mein ek din Toffee ke liye roya tha bahut Amman ne mujhe piTa tha bahut Han yaad hai itna main ek din Titli ka taaqub karte hue Ek peD se ja Takraya tha Han itna yaad hai main ek din Nindon ke dayar mein sapnon ki Pariyon se lipaT kar soya tha Han itna yaad hai main ek din Ghar walon se apne laD-bhiD ke ToD aaya tha sab rishte-nate Han itna yaad hai main ek din Jab bahut dukhi tha tanha tha Ek jism ki aag mein pighla tha Han ye bhi yaad hai main ek din Sach bol ke pachhtaya tha bahut Apne se bhi sharmaya tha bahut Han ye bhi yaad hai mujh ko ki main Jab bahut hi be-kal hota tha Ashaar bhi likkha karta tha Han ye bhi yaad hai mujh ko ki main RoTi rozi ki tamanna mein BaDa KHwar hua is duniya mein Han aur bhi kuch hai yaad mujhe Magar is ka jawab kahan ye sab Ye tis baras kaise guzre Ye tis baras kaise kaTe Ab is ke jawab se kya hoga Chalo uTho ki subh hui dekho Chalo uTho ki apna kaam karen Chalo uTho ki shahr-e-tamanna mein Marham DhunDen un zaKHmon ka Jo dil ne abhi tak khae nahin Tabir karen un KHwabon ki Jo aankhon ne dikhlae nahin Un lamhon ke hamraaz banen Jo zist mein apni aae nahin Chalo tiswan sal bhi bit gaya Chalo mai chalkaen jashn karen Chalo sar ko jhukaen sajde mein Is umr-e-faromaya ka safar Aadhe se ziyaada KHatm hua