ek kaalii nazm
— Shahryar
Main kore kaaghaz par likhoon phir ek kaalee nazm
Alakh jagaate sannaaTon se phir se sajaa.oon bazm
Gaddar amroodon kee khushboo paagal kar jaa.e
Meree in khaalee aa.ankhon ko jal-thal kar jaa.e
Duur darindon kee aavaazen khud se laDtee hon
Mere us ke biich men lambee raaten paDtee hon
Shiknon se aaree ik bistar mujh ko taktaa ho
Jism miraa jab aadhaa sotaa aadhaa jagtaa ho
Tab main karoon ye azm
Ki likhoon koi kaalee nazm
Main kore kaghaz par likhun phir ek kali nazm
Alakh jagate sannaTon se phir se sajaun bazm
Gaddar amrudon ki KHushbu pagal kar jae
Meri in KHali aaankhon ko jal-thal kar jae
Dur darindon ki aawazen KHud se laDti hon
Mere us ke bich mein lambi raaten paDti hon
Shiknon se aari ek bistar mujh ko takta ho
Jism mera jab aadha sota aadha jagta ho
Tab main karun ye azm
Ki likhun koi kali nazm