ek siyaasii nazm

Shahryar

Magar be-zaa.iqa honTon se Tum ne sakht chaTTaanon ko choomaa tha Vo un kee khurduraahaT nok niklee chhaatiyaan Tezaabiyat namkeen kaa.ee Sab kee lazzat se rahe naa-aashnaa bachche tumhaare Isee baa.is to un ke jism men Khoon kee jagah paanee kee gardish hai Isee baa.is wo apnee nafraton ke khud hadaf hain Aur dushman un pe hanste hain Magar be-zaiqa honTon se Tum ne saKHt chaTTanon ko chuma tha Wo un ki khurdurahaT nok nikli chhatiyan Tezabiyat namkin kai Sab ki lazzat se rahe na-ashna bachche tumhaare Isi bais to un ke jism mein KHun ki jagah pani ki gardish hai Isi bais wo apni nafraton ke KHud hadaf hain Aur dushman un pe hanste hain