hans raha tha main bahut go waqt wo rone kaa tha
— Shahryar
Hans raha tha main bahut go waqt wo rone kaa tha
Sakht kitnaa marhala tujh se judaa hone kaa tha
Rat-jage taqseem kartee phir rahi hain shahr men
Shauq jin aankhon ko kal tak raat men sone kaa tha
Is safar men bas miree tanhaa.ee mere saath thee
Har qadam kyuun khauf mujh ko bhiiD men khone kaa tha
Har bun-e-moo se darindon kee sadaa aane lagee
Kaam hee aisa badan men khvaahishen bone kaa tha
Main ne jab se ye sunaa hai khud se bhee naadim hoon main
Zikr tujh honTon pe mere dar-ba-dar hone kaa tha
Hans raha tha main bahut go waqt wo rone ka tha
SaKHt kitna marhala tujh se juda hone ka tha
Rat-jage taqsim karti phir rahi hain shahr mein
Shauq jin aankhon ko kal tak raat mein sone ka tha
Is safar mein bas meri tanhai mere sath thi
Har qadam kyun KHauf mujh ko bhiD mein khone ka tha
Har bun-e-mu se darindon ki sada aane lagi
Kaam hi aisa badan mein KHwahishen bone ka tha
Main ne jab se ye suna hai KHud se bhi nadim hun main
Zikr tujh honTon pe mere dar-ba-dar hone ka tha