havaa kaa zor hi kaafii bahaana hota hai
— Shahryar
Havaa kaa zor hee kaafee bahaana hota hai
Agar charaagh kisee ko jalaanaa hota hai
Zabaanee da.ave bahut log karte rahte hain
Junoon ke kaam ko kar ke dikhaanaa hota hai
Hamaare shahr men ye kaun ajnabee aayaa
Ki roz khvaab safar pe ravaana hota hai
Ki too bhee yaad nahin aataa ye to honaa tha
Ga.e dinon ko sabhee ko bhulaanaa hota hai
Isee umiid pe ham aaj tak bhaTakte hain
Har ek shakhs kaa koi Thikaana hota hai
Hamen ik aur bharee bazm yaad aatee hai
Kisee kee bazm men jab muskuraanaa hota hai
Hawa ka zor hi kafi bahana hota hai
Agar charagh kisi ko jalana hota hai
Zabani dawe bahut log karte rahte hain
Junun ke kaam ko kar ke dikhana hota hai
Hamare shahr mein ye kaun ajnabi aaya
Ki roz KHwab safar pe rawana hota hai
Ki tu bhi yaad nahin aata ye to hona tha
Gae dinon ko sabhi ko bhulana hota hai
Isi umid pe hum aaj tak bhaTakte hain
Har ek shaKHs ka koi Thikana hota hai
Hamein ek aur bhari bazm yaad aati hai
Kisi ki bazm mein jab muskurana hota hai