jab bhi miltii hai mujhe ajnabii lagtii kyuun hai
— Shahryar
Jab bhee miltee hai mujhe ajnabee lagtee kyuun hai
Zindagee roz na.e rang badaltee kyuun hai
Dhuup ke qahr kaa Dar hai to dayaar-e-shab se
Sar-barahna koi parchhaa.een nikaltee kyuun hai
Mujh ko apna na kahaa is kaa gilaa tujh se nahin
Is kaa shikva hai ki begaana samajhtee kyuun hai
Tujh se mil kar bhee na tanhaa.ee miTegee meree
Dil men rah rah ke yahee baat khaTaktee kyuun hai
Mujh se kya poochh rahe ho miree vahshat kaa sabab
Boo-e-aavaara se poochho ki bhaTaktee kyuun hai
Jab bhi milti hai mujhe ajnabi lagti kyun hai
Zindagi roz nae rang badalti kyun hai
Dhup ke qahr ka Dar hai to dayar-e-shab se
Sar-barahna koi parchhain nikalti kyun hai
Mujh ko apna na kaha is ka gila tujh se nahin
Is ka shikwa hai ki begana samajhti kyun hai
Tujh se mil kar bhi na tanhai miTegi meri
Dil mein rah rah ke yahi baat khaTakti kyun hai
Mujh se kya puchh rahe ho meri wahshat ka sabab
Bu-e-awara se puchho ki bhaTakti kyun hai