justujuu jis ki thii us ko to na paayaa ham ne
— Shahryar
Justujoo jis kee thee us ko to na paayaa ham ne
Is bahaane se magar dekh lee dunya ham ne
Sab kaa ahvaal vahee hai jo hamaaraa hai aaj
Ye alag baat ki shikva kiyaa tanhaa ham ne
Khud pasheemaan hue ne use sharminda kiyaa
Ishq kee vaz.a ko kya khuub nibhaayaa ham ne
Kaun saa qahr ye aankhon pe huaa hai naazil
Ek muddat se koi khvaab na dekhaa ham ne
Umr bhar sach hee kahaa sach ke sivaa kuch na kahaa
Ajr kya is kaa milegaa ye na sochaa ham ne
Justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
Is bahane se magar dekh li duniya hum ne
Sab ka ahwal wahi hai jo hamara hai aaj
Ye alag baat ki shikwa kiya tanha hum ne
KHud pashiman hue ne use sharminda kiya
Ishq ki waza ko kya KHub nibhaya hum ne
Kaun sa qahr ye aankhon pe hua hai nazil
Ek muddat se koi KHwab na dekha hum ne
Umr bhar sach hi kaha sach ke siwa kuch na kaha
Ajr kya is ka milega ye na socha hum ne