khel kaa natiija
— Shahryar
Kyuun malaal hai itnaa
Haar jiit men tum ko
Farq kyuun nazar aayaa
Khel kaa nateeja to
Khelne kee lazzat hai
Jo tumhaare hisse men
Aur logon kee nisbat
Kuchh ziyaada aa.ee hai
Phir malaal kaisaa hai
Kyun malal hai itna
Haar jit mein tum ko
Farq kyun nazar aaya
Khel ka natija to
Khelne ki lazzat hai
Jo tumhaare hisse mein
Aur logon ki nisbat
Kuchh ziyaada aai hai
Phir malal kaisa hai