khvaab kaa dar band hai

Shahryar

Mere liye raat ne Aaj faraaham kiyaa Ek nayaa marhala Neendon se khaalee kiyaa Ashkon se phir bhar diyaa Kaasa miree aankh kaa Aur kahaa kaan men Main ne har ik jurm se Tum ko baree kar diyaa Main ne sadaa ke liye Tum ko rihaa kar diyaa Jaao jidhar chaaho tum Jaago ki so jaao tum Khvaab kaa dar band hai Mere liye raat ne Aaj faraham kiya Ek naya marhala Nindon se KHali kiya Ashkon se phir bhar diya Kasa meri aankh ka Aur kaha kan mein Main ne har ek jurm se Tum ko bari kar diya Main ne sada ke liye Tum ko riha kar diya Jao jidhar chaho tum Jago ki so jao tum KHwab ka dar band hai