kis kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gaya
— Shahryar
Kis kis tarah se mujh ko na rusvaa kiyaa gaya
Ghairon kaa naam mere lahoo se likhaa gaya
Niklaa tha main sadaa-e-jaras kee talaash men
Dhoke se is sukoot ke sahraa men aa gaya
Kyuun aaj us kaa zikr mujhe khush na kar sakaa
Kyuun aaj us kaa naam miraa dil dukhaa gaya
Main jism ke hisaar men mahsoor hoon abhee
Vo ruuh kee hadon se bhee aage chalaa gaya
Is haadse ko sun ke karegaa yaqeen koi
Sooraj ko ek jhonkaa havaa kaa bujhaa gaya
Kis kis tarah se mujh ko na ruswa kiya gaya
Ghairon ka nam mere lahu se likha gaya
Nikla tha main sada-e-jaras ki talash mein
Dhoke se is sukut ke sahra mein aa gaya
Kyun aaj us ka zikr mujhe KHush na kar saka
Kyun aaj us ka nam mera dil dukha gaya
Main jism ke hisar mein mahsur hun abhi
Wo ruh ki hadon se bhi aage chala gaya
Is hadse ko sun ke karega yaqin koi
Suraj ko ek jhonka hawa ka bujha gaya