laa zavaal hone kaa
— Shahryar
Raat kee khulee khiDkee
Band hone vaalee hai
Chaand ke kaTore men
Os bharne vaalee hai
Ye ajab safar is kaa
Ab tamaam hota hai
Laa-zavaal hone kaa
Dekho kya bahaana hai
Kal bhee ik haqeeqat tha
Aaj bhee fasaana hai
Aasmaan kee jaanib
Sab ke haath uThte hain
Us ke Khoon kee surkhee
Barg-o-baar laa.egee
Be-namaaz bandon par
Ya.anee un darindon par
Har qadam masaa.ib kaa
Intizaar laa.egaa
Raat ki khuli khiDki
Band hone wali hai
Chand ke kaTore mein
Os bharne wali hai
Ye ajab safar is ka
Ab tamam hota hai
La-zawal hone ka
Dekho kya bahana hai
Kal bhi ek haqiqat tha
Aaj bhi fasana hai
Aasman ki jaanib
Sab ke hath uThte hain
Us ke KHun ki surKHi
Barg-o-bar laegi
Be-namaz bandon par
Yani un darindon par
Har qadam masaib ka
Intizar laega