maut

Shahryar

Abhee nahin abhee zanjeer-e-khvaab barham hai Abhee nahin abhee daaman ke chaak kaa gham hai Abhee nahin abhee dar baaz hai umeedon kaa Abhee nahin abhee siine kaa daagh jaltaa hai Abhee nahin abhee palkon pe Khoon machaltaa hai Abhee nahin abhee kam-bakht dil dhaDaktaa hai Abhi nahin abhi zanjir-e-KHwab barham hai Abhi nahin abhi daman ke chaak ka gham hai Abhi nahin abhi dar baz hai umidon ka Abhi nahin abhi sine ka dagh jalta hai Abhi nahin abhi palkon pe KHun machalta hai Abhi nahin abhi kam-baKHt dil dhaDakta hai