munazzam manaazir se aage bahaar aur khizaan maut aur zindagii ke munazzam manaazir se aage bhi
— Shahryar
Bahaar aur khizaan maut aur zindagee ke munazzam manaazir se aage bhee
Kuchh aise manzar hain
Aankhon kee jin tak rasaa.ee nahin hai
Shajar jis kee saaree jaDen aasmaanon men phailee hain
Aur Tahniyaan khurduree sakht laavaa ugaltee zameen
Ke badan men musalsal utartee chalee jaa rahi hain
Havaa ke samundar men be-baadbaan kashtiyon par darinde
Lahoo-rang khushboo kee deevaar kaa gahraa saaya
Haree surkh niilee siyah raushnee
Raushnee kee lakeeren
Lakeeron kee awaaz
Aavaaz kaa daa.era
Daa.ere aur nuqte men baDhtaa huaa faasla
Faasla aur safar
Bahaar aur khizaan maut aur zindagee ke munazzam manaazir se aage bhee
Kuchh aise manzar hain aankhon kee jin tak rasaa.ee nahin hai
Bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi
Kuchh aise manzar hain
Aankhon ki jin tak rasai nahin hai
Shajar jis ki sari jaDen aasmanon mein phaili hain
Aur Tahniyan khurduri saKHt lawa ugalti zamin
Ke badan mein musalsal utarti chali ja rahi hain
Hawa ke samundar mein be-baadban kashtiyon par darinde
Lahu-rang KHushbu ki diwar ka gahra saya
Hari surKH nili siyah raushni
Raushni ki lakiren
Lakiron ki aawaz
Aawaz ka daera
Daere aur nuqte mein baDhta hua fasla
Fasla aur safar
Bahaar aur KHizan maut aur zindagi ke munazzam manazir se aage bhi
Kuchh aise manzar hain aankhon ki jin tak rasai nahin hai