nafii se isbaat tak
— Shahryar
Raat kaa ye samundar tumhaare liye
Tum samundar kee khaatir bane ho
Dilon men kabhi khushkiyon kee sahar kaa tasavvur na aa.e
Isee vaaste tum ko be-baadbaan kashtiyaan dee ga.ee hain
Safar raat ke us samundar kee gahraa.iyon kaa safar-e-be-karaan hai
Akele ho tum aur akele rahoge
Magar aasmaan kee jagah aasmaan aur zameen kee jagah ye zameen
Tum se qaa.em hai
Daa.im hai ye raat
Aur raat ke tum amiin ho
Agar aankh men nuur kaa koi manzar hai
Us kee hifaazat karo
Raat ka ye samundar tumhaare liye
Tum samundar ki KHatir bane ho
Dilon mein kabhi KHushkiyon ki sahar ka tasawwur na aae
Isi waste tum ko be-baadban kashtiyan di gai hain
Safar raat ke us samundar ki gahraiyon ka safar-e-be-karan hai
Akele ho tum aur akele rahoge
Magar aasman ki jagah aasman aur zamin ki jagah ye zamin
Tum se qaem hai
Daim hai ye raat
Aur raat ke tum amin ho
Agar aankh mein nur ka koi manzar hai
Us ki hifazat karo