nayaa ufaq

Shahryar

Kya tum ko ye pata hai Ai naa-samajh rafeeqo Roz-e-azal se jis par Tum gaamzan rahe ho Vo raasta khalaa kee Sarhad se jaa milaa hai Mash.al jalaao dekho Biphree huee havaa men Aa.ina-e-sadaa men Chehra kisee ufuq kaa Phir se ubhar raha hai Kya tum ko ye pata hai Ai na-samajh rafiqo Roz-e-azal se jis par Tum gamzan rahe ho Wo rasta KHala ki Sarhad se ja mila hai Mashal jalao dekho Biphri hui hawa mein Aaina-e-sada mein Chehra kisi ufuq ka Phir se ubhar raha hai