nazar jo koi bhii tujh saa hasiin nahiin aataa

Shahryar

Nazar jo koi bhee tujh saa haseen nahin aataa Kisee ko kya mujhe khud bhee yaqeen nahin aataa Tiraa khayaal bhee teree tarah sitamgar hai Jahaan pe chaahiye aanaa vaheen nahin aataa Jo hone vaalaa hai ab us kee fikr kya kiije Jo ho chukaa hai usee par yaqeen nahin aataa Ye meraa dil hai ki manzar ujaaD bastee kaa Khule hue hain sabhee dar makeen nahin aataa BichhaDnaa hai to bichhaD jaa isee do-raahe par Ki moD aage safar men kaheen nahin aataa Nazar jo koi bhi tujh sa hasin nahin aata Kisi ko kya mujhe KHud bhi yaqin nahin aata Tera KHayal bhi teri tarah sitamgar hai Jahan pe chahiye aana wahin nahin aata Jo hone wala hai ab us ki fikr kya kije Jo ho chuka hai usi par yaqin nahin aata Ye mera dil hai ki manzar ujaD basti ka Khule hue hain sabhi dar makin nahin aata BichhaDna hai to bichhaD ja isi do-rahe par Ki moD aage safar mein kahin nahin aata