nisbat rahe tum se sadaa hazrat nizaamuddiin ji
— Shahryar
Nisbat rahe tum se sadaa hazrat nizaamuddeen-jee
Maangoon main kya is ke sivaa hazrat nizaamuddeen-jee
Aankhon pe yuun chhaa.e ho tum har jaa nazar aa.e ho tum
Kaisaa junoon mujh ko huaa hazrat nizaamuddeen-jee
Haathon se tum ne jo kiyaa raushan wafa kaa ik diyaa
Aandhee kee zad men wo jalaa hazrat nizaamuddeen-jee
Lete the allaah naam jo japte the dil men raam jo
Tum ne kiyaa sab kaa bhalaa hazrat nizaamuddeen-jee
'khusrav' kee aankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi
Ahvaal hogaa us kaa kya hazrat nizaamuddeen-jee
Nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji
Mangun main kya is ke siwa hazrat nizamuddin-ji
Aankhon pe yun chhae ho tum har ja nazar aae ho tum
Kaisa junun mujh ko hua hazrat nizamuddin-ji
Hathon se tum ne jo kiya raushan wafa ka ek diya
Aandhi ki zad mein wo jala hazrat nizamuddin-ji
Lete the allah nam jo japte the dil mein ram jo
Tum ne kiya sab ka bhala hazrat nizamuddin-ji
'KHusraw' ki aankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi
Ahwal hoga us ka kya hazrat nizamuddin-ji