saugandhii badii bharii ye boriyaan
— Shahryar
Badee bharee ye boriyaan
Na jaane kaun moD tak
Hamaare saath jaa.engee
Safed chaadaron men kis ne raat ko chhupaa liyaa
Hamaaree zillaton se kis ne apne uzv uzv ko sajaa liyaa
Ki aaj naaf ke qareeb khvaahishon kee bhiiD hai
Udhar wo gumbadon kee guunj
Jangalon ko jaane vaale raaste
PalaT paDe
Tiree galee men har taraf se aa rahe hain bheDiye
KivaaD khol dekh kaisaa jashn hai
Havaa bharaa wo chaand
Saat inch neeche aa gaya
Ghizaa milegee chiyoonTiyon ko teraa kaam ho gaya
Hamaare naakhunon ke mail se
Tere badan ke ghaav bhar ga.e
Ye haadsa bhee ho gaya
Magar kahaan se biich men ye aasmaan aa gaya
Badi bhari ye boriyan
Na jaane kaun moD tak
Hamare sath jaengi
Safed chadaron mein kis ne raat ko chhupa liya
Hamari zillaton se kis ne apne uzw uzw ko saja liya
Ki aaj naf ke qarib KHwahishon ki bhiD hai
Udhar wo gumbadon ki gunj
Jangalon ko jaane wale raste
PalaT paDe
Teri gali mein har taraf se aa rahe hain bheDiye
KiwaD khol dekh kaisa jashn hai
Hawa bhara wo chand
Sat inch niche aa gaya
Ghiza milegi chiyunTiyon ko tera kaam ho gaya
Hamare naKHunon ke mail se
Tere badan ke ghaw bhar gae
Ye hadsa bhi ho gaya
Magar kahan se bich mein ye aasman aa gaya