shadiid pyaas thii phir bhi chhuaa na paanii ko

Shahryar

Shadeed pyaas thee phir bhee chhuaa na paanee ko Main dekhtaa raha Dariya tiree ravaanee ko Siyaah raat ne behaal kar diyaa mujh ko Ki tuul de nahin paayaa kisee kahaanee ko Bajaa.e mere kisee aur kaa taqarrur ho Qubool jo kare khawabon kee paasbaanee ko Amaan kee jaa mujhe ai shahr too ne dee to hai Bhulaa na paa.oongaa sahraa kee be-karaanee ko Jo chaahtaa hai ki iqbaal ho sivaa teraa To sab men baanT baraabar se shaadmaanee ko Shadid pyas thi phir bhi chhua na pani ko Main dekhta raha dariya teri rawani ko Siyah raat ne behaal kar diya mujh ko Ki tul de nahin paya kisi kahani ko Bajae mere kisi aur ka taqarrur ho Qubul jo kare KHwabon ki pasbani ko Aman ki ja mujhe ai shahr tu ne di to hai Bhula na paunga sahra ki be-karani ko Jo chahta hai ki iqbaal ho siwa tera To sab mein banT barabar se shadmani ko