siine men jalan aankhon men tuufaan saa kyuun hai
— Shahryar
Siine men jalan aankhon men toofaan saa kyuun hai
Is shahr men har shakhs pareshaan saa kyuun hai
Dil hai to dhaDakne kaa bahaana koi DhoonDe
Patthar kee tarah be-his o be-jaan saa kyuun hai
Tanhaa.ee kee ye kaun see manzil hai rafeeqo
Taa-hadd-e-nazar ek bayaabaan saa kyuun hai
Ham ne to koi baat nikaalee nahin gham kee
Vo zood-pashemaan pashemaan saa kyuun hai
Kyaa koi na.ee baat nazar aatee hai ham men
Aa.eena hamen dekh ke hairaan saa kyuun hai
Sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai
Is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai
Dil hai to dhaDakne ka bahana koi DhunDe
Patthar ki tarah be-his o be-jaan sa kyun hai
Tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
Ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai
Hum ne to koi baat nikali nahin gham ki
Wo zud-pasheman pasheman sa kyun hai
Kya koi nai baat nazar aati hai hum mein
Aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai