siyaah raat nahin letii naam dhalne kaa
— Shahryar
Siyaah raat nahin letee naam Dhalne kaa
Yahee to waqt hai suraj tire nikalne kaa
Yahaan se guzre hain guzrenge ham se ahl-e-wafa
Ye raasta nahin parchhaa.iyon ke chalne kaa
Kaheen na sab ko samundar bahaa ke le jaa.e
Ye khel khatm karo kashtiyaan badalne kaa
BigaD gaya jo ye naqsha havas ke haathon se
To phir kisee ke sambhaale nahin sambhalne kaa
Zameen ne kar liyaa kya teergee se samjhautaa
Khayaal chhoD chuke kya charaagh jalne kaa
Siyah raat nahin leti nam Dhalne ka
Yahi to waqt hai suraj tere nikalne ka
Yahan se guzre hain guzrenge hum se ahl-e-wafa
Ye rasta nahin parchhaiyon ke chalne ka
Kahin na sab ko samundar baha ke le jae
Ye khel KHatm karo kashtiyan badalne ka
BigaD gaya jo ye naqsha hawas ke hathon se
To phir kisi ke sambhaale nahin sambhalne ka
Zamin ne kar liya kya tirgi se samjhauta
KHayal chhoD chuke kya charagh jalne ka