tere sivaa bhi koi mujhe yaad aane vaalaa tha
— Shahryar
Tere sivaa bhee koi mujhe yaad aane vaalaa tha
Main varna yuun hijr se kab ghabraane vaalaa tha
Jaan-boojh kar samajh kar main ne bhulaa diyaa
Har wo qissa jo dil ko bahlaane vaalaa tha
Mujh ko nadaamat bas is par hai log bahut khush hain
Is lamhe ko kho kar jo pachhtaane vaalaa tha
Ye to khair huee Dariya ne rukh tabdeel kiyaa
Meraa shahr bhee us kee zad men aane vaalaa tha
Ik ik kar ke sab raste kitne sunsaan hue
Yaad aayaa main lambe safar par jaane vaalaa tha
Tere siwa bhi koi mujhe yaad aane wala tha
Main warna yun hijr se kab ghabrane wala tha
Jaan-bujh kar samajh kar main ne bhula diya
Har wo qissa jo dil ko bahlane wala tha
Mujh ko nadamat bas is par hai log bahut KHush hain
Is lamhe ko kho kar jo pachhtane wala tha
Ye to KHair hui dariya ne ruKH tabdil kiya
Mera shahr bhi us ki zad mein aane wala tha
Ek ek kar ke sab raste kitne sunsan hue
Yaad aaya main lambe safar par jaane wala tha