tuu kahaan hai tujh se ik nisbat thii meri zaat ko
— Shahryar
Too kahaan hai tujh se ik nisbat thee meree zaat ko
Kab se palkon par uThaa.e phir raha hoon raat ko
Mere hisse kee zameen banjar thee main vaaqif na tha
Be-sabab ilzaam main deta raha barsaat ko
Kaisee bastee thee jahaan par koi bhee aisa na tha
Munkashif main jis pe kartaa apne dil kee baat ko
Saaree dunya ke masaa.il yuun mujhe darpesh hain
Teraa gham kaafee na ho jaise guzar-auqaat ko
Tu kahan hai tujh se ek nisbat thi meri zat ko
Kab se palkon par uThae phir raha hun raat ko
Mere hisse ki zamin banjar thi main waqif na tha
Be-sabab ilzam main deta raha barsat ko
Kaisi basti thi jahan par koi bhi aisa na tha
Munkashif main jis pe karta apne dil ki baat ko
Sari duniya ke masail yun mujhe darpesh hain
Tera gham kafi na ho jaise guzar-auqat ko