ummiid se kam chashm e khariidaar men aae
— Shahryar
Ummeed se kam chashm-e-khareedaar men aa.e
Ham log zaraa der se baazaar men aa.e
Sach khud se bhee ye log nahin bolne vaale
Ai ahl-e-junoon tum yahaan bekaar men aa.e
Ye aag havas kee hai jhulas degee ise bhee
Sooraj se kaho saaya-e-deevaar men aa.e
BaDhtee hee chalee jaatee hai tanhaa.ee hamaaree
Kyaa soch ke ham vaadee-e-inkaar men aa.e
Ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae
Hum log zara der se bazar mein aae
Sach KHud se bhi ye log nahin bolne wale
Ai ahl-e-junun tum yahan bekar mein aae
Ye aag hawas ki hai jhulas degi ise bhi
Suraj se kaho saya-e-diwar mein aae
BaDhti hi chali jati hai tanhai hamari
Kya soch ke hum wadi-e-inkar mein aae