wo bevafaa hai hamesha hi dil dukhaataa hai

Shahryar

Wo bevafaa hai hamesha hee dil dukhaataa hai Magar hamen to vahee ek shakhs bhaataa hai Na khush-gumaan ho is par too ai dil-e-saada Sabhee ko dekh ke wo shokh muskuraataa hai Jagah jo dil men nahin hai mire liye na sahee Magar ye kya ki bharee bazm se uThaataa hai Tire karam kee yahee yaadgaar baaqee hai Ye ek daagh jo is dil men jagmagaataa hai Ajiib chiiz hai ye waqt jis ko kahte hain Ki aane paataa nahin aur biit jaataa hai Wo bewafa hai hamesha hi dil dukhata hai Magar hamein to wahi ek shaKHs bhata hai Na KHush-guman ho is par tu ai dil-e-sada Sabhi ko dekh ke wo shoKH muskuraata hai Jagah jo dil mein nahin hai mere liye na sahi Magar ye kya ki bhari bazm se uThata hai Tere karam ki yahi yaadgar baqi hai Ye ek dagh jo is dil mein jagmagata hai Ajib chiz hai ye waqt jis ko kahte hain Ki aane pata nahin aur bit jata hai