wo kaun tha
— Shahryar
Wo kaun tha wo kaun tha
Tilism-e-shahr-e-aarzoo jo tod kar chalaa gaya
Har ek taar ruuh kaa jhinjhoD kar chalaa gaya
Mujhe khalaa ke baazuon men chhoD kar chalaa gaya
Sitam-shi.aar aasmaan to tha nahin
Udaasiyon kaa raaz-daan to tha nahin
Vo meraa jism-e-naa-tavaan to tha nahin
To kaun tha
Vo kaun tha?
Wo kaun tha wo kaun tha
Tilism-e-shahr-e-arzu jo tod kar chala gaya
Har ek tar ruh ka jhinjhoD kar chala gaya
Mujhe KHala ke bazuon mein chhoD kar chala gaya
Sitam-shiar aasman to tha nahin
Udasiyon ka raaz-dan to tha nahin
Wo mera jism-e-na-tawan to tha nahin
To kaun tha
Wo kaun tha?