ye jagah ahl e junoon ab nahin rehne vaalii
— Shahryar
Ye jagah ahl-e-junoon ab nahin rehne vaalee
Fursat-e-ishq mayassar kahaan pahle vaalee
Koee Dariya ho kaheen jo mujhe sairaab kare
Ek hasrat hai jo puuree nahin hone vaalee
Vaqt koshish kare main chaahoon magar yaad tiree
Dhundlee ho saktee hai dil se nahin miTne vaalee
Ab mire khawabon kee baaree hai yahee lagtaa hai
Niind to chhin chukee kab kee mire hisse vaalee
In dinon main bhee hoon kuch kaar-e-jahaan men masroof
Baat tujh men bhee nahin rah ga.ee pahle vaalee
Ye jagah ahl-e-junun ab nahin rehne wali
Fursat-e-ishq mayassar kahan pahle wali
Koi dariya ho kahin jo mujhe sairab kare
Ek hasrat hai jo puri nahin hone wali
Waqt koshish kare main chahun magar yaad teri
Dhundli ho sakti hai dil se nahin miTne wali
Ab mere KHwabon ki bari hai yahi lagta hai
Nind to chhin chuki kab ki mere hisse wali
In dinon main bhi hun kuch kar-e-jahan mein masruf
Baat tujh mein bhi nahin rah gai pahle wali