ye kya hai mohabbat men to aisa nahin hota
— Shahryar
Ye kya hai mohabbat men to aisa nahin hota
Main tujh se judaa ho ke bhee tanhaa nahin hota
Is moD se aage bhee koi moD hai varna
Yuun mere liye too kabhi Thahraa nahin hota
Kyuun meraa muqaddar hai ujaalon kee siyaahi
Kyuun raat ke Dhalne pe saveraa nahin hota
Yaa itnee na tabdeel huee hotee ye dunya
Yaa main ne ise khvaab men dekhaa nahin hota
Sunte hain sabhee ghaur se awaaz-e-jaras ko
Manzil kee taraf koi ravaana nahin hota
Dil tark-e-ta.alluq pe bhee aamaada nahin hai
Aur haq bhee adaa is se wafa kaa nahin hota
Ye kya hai mohabbat mein to aisa nahin hota
Main tujh se juda ho ke bhi tanha nahin hota
Is moD se aage bhi koi moD hai warna
Yun mere liye tu kabhi Thahra nahin hota
Kyun mera muqaddar hai ujalon ki siyahi
Kyun raat ke Dhalne pe sawera nahin hota
Ya itni na tabdil hui hoti ye duniya
Ya main ne ise KHwab mein dekha nahin hota
Sunte hain sabhi ghaur se aawaz-e-jaras ko
Manzil ki taraf koi rawana nahin hota
Dil tark-e-talluq pe bhi aamada nahin hai
Aur haq bhi ada is se wafa ka nahin hota