ye kya jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai

Shahryar

Ye kya jagah hai dosto ye kaun saa dayaar hai Had-e-nigaah tak jahaan ghubaar hee ghubaar hai Har ek jism ruuh ke azaab se niDhaal hai Har ek aankh shabnamee har ek dil figaar hai Hamen to apne dil kee dhaDkanon pe bhee yaqeen nahin Khoshaa wo log jin ko doosron pe aitbaar hai Na jis kaa naam hai koi na jis kee shakl hai koi Ik aisi shai kaa kyuun hamen azal se intizaar hai Ye kya jagah hai dosto ye kaun sa dayar hai Had-e-nigah tak jahan ghubar hi ghubar hai Har ek jism ruh ke azab se niDhaal hai Har ek aankh shabnami har ek dil figar hai Hamein to apne dil ki dhaDkanon pe bhi yaqin nahin KHosha wo log jin ko dusron pe e'tibar hai Na jis ka nam hai koi na jis ki shakl hai koi Ek aisi shai ka kyun hamein azal se intizar hai