zinda rehne kaa ye ehsaas
— Shahryar
Ret muTThee men kabhi Thahree hai
Pyaas se us ko ilaaqa kya hai
Umr kaa kitnaa baDaa hissa ganvaa baiThaa main
Jaante boojhte kirdaar Daraame kaa banaa
Aur is rol ko sab kahte hain
Hoshiyaaree se nibhaayaa main ne
Hansne ke jitne maqaam aa.e hansaa
Bas mujhe rone kee saa.at pe khajil honaa paDaa
Jaane kyuun rone ke har lamhe ko
Taal deta hoon kisee aglee ghaDee par
Dil men khauf o nafrat ko sajaa letaa hoon
Mujh ko ye dunya bhalee lagtee hai
BhiiD men ajnabee lagne men mazaa aataa hai
Aashnaa chehron ke badle hue tevar mujh ko
Haal se maazee men le jaate hain
Kuhniyaan zakhmee hain aur ghuTnon par
Kuchh kharaashon ke nishaan
Sondhee miTTee kee mahak kheenche liye jaatee hai
Titliyaan phuul havaa chaandnee kankar patthar
Sab mire saath men hain
Saans be-khaufee se letaa hoon main
Ret muTThi mein kabhi Thahri hai
Pyas se us ko ilaqa kya hai
Umr ka kitna baDa hissa ganwa baiTha main
Jaante bujhte kirdar Darame ka bana
Aur is rol ko sab kahte hain
Hoshiyari se nibhaya main ne
Hansne ke jitne maqam aae hansa
Bas mujhe rone ki saat pe KHajil hona paDa
Jaane kyun rone ke har lamhe ko
Tal deta hun kisi agli ghaDi par
Dil mein KHauf o nafrat ko saja leta hun
Mujh ko ye duniya bhali lagti hai
BhiD mein ajnabi lagne mein maza aata hai
Aashna chehron ke badle hue tewar mujh ko
Haal se mazi mein le jate hain
Kuhniyan zaKHmi hain aur ghuTnon par
Kuchh KHarashon ke nishan
Sondhi miTTi ki mahak khinche liye jati hai
Titliyan phul hawa chandni kankar patthar
Sab mere sath mein hain
Sans be-KHaufi se leta hun main