aayaa hai har chadhaaii ke baad ik utaar bhi
— Shakeb Jalali
Aayaa hai har chaDhaa.ee ke ba.ad ik utaar bhee
Pastee se ham-kanaar mile kohsaar bhee
Aakhir ko thak ke baith ga.ee ik maqaam par
Kuchh duur mere saath chalee rahguzaar bhee
Dil kyuun dhaDakne lagtaa hai ubhre jo koi chaap
Ab to nahin kisee kaa mujhe intizaar bhee
Jab bhee sukoot-e-shaam men aayaa tiraa khayaal
Kuchh der ko Thahar saa gaya aabshaar bhee
Kuchh ho gaya hai dhoop se khaakistaree badan
Kuchh jam gaya hai raah kaa mujh par ghubaar bhee
Is faaslon ke dasht men rahbar vahee bane
Jis kee nigaah dekh le sadiyon ke paar bhee
Ai dost pahle qurb kaa nashsha ajiib thaa
Main sun sakaa na apne badan kee pukaar bhee
Rasta bhee vaapsee kaa kaheen ban men kho gaya
Ojhal huee nigaah se hirnon kee Daar bhee
Kyuun ro rahe ho raah ke andhe charaagh ko
Kyaa bujh gaya havaa se lahoo kaa sharaar bhee
Kuchh aql bhee hai baa.is-e-tauqeer ai 'shakeb'
Kuchh aa ga.e hain baalon men chaandee ke taar bhee
Aaya hai har chaDhai ke baad ek utar bhi
Pasti se ham-kanar mile kohsar bhi
AaKHir ko thak ke baith gai ek maqam par
Kuchh dur mere sath chali rahguzar bhi
Dil kyun dhaDakne lagta hai ubhre jo koi chap
Ab to nahin kisi ka mujhe intizar bhi
Jab bhi sukut-e-sham mein aaya tera KHayal
Kuchh der ko Thahar sa gaya aabshaar bhi
Kuchh ho gaya hai dhup se KHakistari badan
Kuchh jam gaya hai rah ka mujh par ghubar bhi
Is faslon ke dasht mein rahbar wahi bane
Jis ki nigah dekh le sadiyon ke par bhi
Ai dost pahle qurb ka nashsha ajib tha
Main sun saka na apne badan ki pukar bhi
Rasta bhi wapsi ka kahin ban mein kho gaya
Ojhal hui nigah se hirnon ki Dar bhi
Kyun ro rahe ho rah ke andhe charagh ko
Kya bujh gaya hawa se lahu ka sharar bhi
Kuchh aql bhi hai bais-e-tauqir ai 'shakeb'
Kuchh aa gae hain baalon mein chandi ke tar bhi