ab aap rah e dil jo kushaada nahin rakhte
— Shakeb Jalali
Ab aap rah-e-dil jo kushaada nahin rakhte
Ham bhee safar-e-jaan kaa iraada nahin rakhte
Piinaa ho to ik jura-e-zahraab bahut hai
Ham tishna-dahan tohmat-e-baada nahin rakhte
Ashkon se charaaghaan hai shab-e-zeest so wo bhee
Kotaahi-e-mizhgaan se ziyaada nahin rakhte
Ye gard-e-rah-e-shauq hee jam jaa.e badan par
Rusvaa hain ki ham koi labaada nahin rakhte
Har gaam pe jugnoo saa chamaktaa hai jo dil men
Ham is ke sivaa mish.al-e-jaada nahin rakhte
Surkhee nahin phoolon kee to zakhmon kee shafaq hai
Daamaan-e-talab ham kabhi saada nahin rakhte
Ab aap rah-e-dil jo kushada nahin rakhte
Hum bhi safar-e-jaan ka irada nahin rakhte
Pina ho to ek jura-e-zahrab bahut hai
Hum tishna-dahan tohmat-e-baada nahin rakhte
Ashkon se charaghan hai shab-e-zist so wo bhi
Kotahi-e-mizhgan se ziyaada nahin rakhte
Ye gard-e-rah-e-shauq hi jam jae badan par
Ruswa hain ki hum koi labaada nahin rakhte
Har gam pe jugnu sa chamakta hai jo dil mein
Hum is ke siwa mishal-e-jada nahin rakhte
SurKHi nahin phulon ki to zaKHmon ki shafaq hai
Daman-e-talab hum kabhi sada nahin rakhte