bad qismatii ko ye bhi gavaaraa na ho sakaa
— Shakeb Jalali
Bad-qismatee ko ye bhee gavaaraa na ho sakaa
Ham jis pe mar miTe wo hamaaraa na ho sakaa
Rah to ga.ee fareb-e-maseehaa kee aabroo
Har chand gham ke maaron kaa chaara na ho sakaa
Khush hoon ki baat shorish-e-toofaan kee rah ga.ee
Achchhaa huaa naseeb kinaaraa na ho sakaa
Be-chaargee pe chaaragaree kee hain tohmaten
Achchhaa kisee se ishq kaa maaraa na ho sakaa
Kuchh ishq aisi bakhsh gaya be-niyaaziyaan
Dil ko kisee kaa lutf gavaaraa na ho sakaa
Fart-e-khushee men aankh se aansoo nikal paDe
Jab un kaa iltifaat gavaaraa na ho sakaa
UlTee to thee naqaab kisee ne magar 'shakeb'
Da.avon ke baavajood nazaara na ho sakaa
Bad-qismati ko ye bhi gawara na ho saka
Hum jis pe mar miTe wo hamara na ho saka
Rah to gai fareb-e-masiha ki aabru
Har chand gham ke maron ka chaara na ho saka
KHush hun ki baat shorish-e-tufan ki rah gai
Achchha hua nasib kinara na ho saka
Be-chaargi pe chaaragari ki hain tohmaten
Achchha kisi se ishq ka mara na ho saka
Kuchh ishq aisi baKHsh gaya be-niyaziyan
Dil ko kisi ka lutf gawara na ho saka
Fart-e-KHushi mein aankh se aansu nikal paDe
Jab un ka iltifat gawara na ho saka
UlTi to thi naqab kisi ne magar 'shakeb'
Dawon ke bawajud nazara na ho saka