gale milaa na kabhi chaand bakht aisa thaa
— Shakeb Jalali
Gale milaa na kabhi chaand bakht aisa thaa
Haraa-bharaa badan apna darakht aisa thaa
Sitaare siskiyaan bharte the os rotee thee
Fasaana-e-jigar-e-lakht-lakht aisa thaa
Zaraa na mom huaa pyaar kee haraarat se
ChaTakh ke Toot gaya dil kaa sakht aisa thaa
Ye aur baat ki wo lab the phuul se naazuk
Koee na sah sake lahja karakht aisa thaa
Kahaan kee sair na kee tosan-e-takhayyul par
Hamen to ye bhee sulemaan ke takht aisa thaa
Idhar se guzraa thaa mulk-e-sukhan kaa shahzaada
Koee na jaan sakaa saaz-o-rakht aisa thaa
Gale mila na kabhi chand baKHt aisa tha
Hara-bhara badan apna daraKHt aisa tha
Sitare siskiyan bharte the os roti thi
Fasana-e-jigar-e-laKHt-laKHt aisa tha
Zara na mom hua pyar ki hararat se
ChaTaKH ke TuT gaya dil ka saKHt aisa tha
Ye aur baat ki wo lab the phul se nazuk
Koi na sah sake lahja karaKHt aisa tha
Kahan ki sair na ki tosan-e-taKHayyul par
Hamein to ye bhi suleman ke taKHt aisa tha
Idhar se guzra tha mulk-e-suKHan ka shahzada
Koi na jaan saka saz-o-raKHt aisa tha