infiraadiyat parast

Shakeb Jalali

Ek insaan kee haqeeqat kya hai Zindagee se use nisbat kya hai Aandhee uTThe to uDaa le jaa.e Mauj biphre to bahaa le jaa.e Ek insaan kee haqeeqat kya hai Dagmagaa.e to sahaaraa na mile Saamne ho pa kinaaraa na mile Ek insaan kee haqeeqat kya hai Kund talvaar qalam kar Daale Sard-sho.ala hee bhasam kar Daale Zindagee se use nisbat kya hai Ek insaan kee haqeeqat kya hai Ek insan ki haqiqat kya hai Zindagi se use nisbat kya hai Aandhi uTThe to uDa le jae Mauj biphre to baha le jae Ek insan ki haqiqat kya hai Dagmagae to sahaara na mile Samne ho pa kinara na mile Ek insan ki haqiqat kya hai Kund talwar qalam kar Dale Sard-shoala hi bhasam kar Dale Zindagi se use nisbat kya hai Ek insan ki haqiqat kya hai