jaatii hai dhoop ujle paron ko samet ke
— Shakeb Jalali
Jaatee hai dhoop ujle paron ko sameT ke
Zakhmon ko ab ginoongaa main bistar pe leT ke
Main haath kee lakeeren miTaane pe hoon ba-zid
Go jaantaa hoon naqsh nahin ye saleT ke
Duniyaa ko Kuch khabar nahin kya haadisa huaa
Phenkaa thaa us ne sang gulon men lapeT ke
Favvaare kee tarah na ugal de har ek baat
Kam kam wo bolte hain jo gahre hain peT ke
Ik nuqra.ee khanak ke sivaa kya milaa 'shakeb'
TukDe ye mujh se kahte hain TuuTee plate ke
Jati hai dhup ujle paron ko sameT ke
ZaKHmon ko ab ginunga main bistar pe leT ke
Main hath ki lakiren miTane pe hun ba-zid
Go jaanta hun naqsh nahin ye saleT ke
Duniya ko Kuch KHabar nahin kya hadisa hua
Phenka tha us ne sang gulon mein lapeT ke
Fawware ki tarah na ugal de har ek baat
Kam kam wo bolte hain jo gahre hain peT ke
Ek nuqrai khanak ke siwa kya mila 'shakeb'
TukDe ye mujh se kahte hain TuTi plate ke