jahaan talak bhi ye sahraa dikhaaii deta hai
— Shakeb Jalali
Jahaan talak bhee ye sahraa dikhaa.ee deta hai
Miree tarah se akelaa dikhaa.ee deta hai
Na itnee tez chale sar-phiree havaa se kaho
Shajar pe ek hee pattaa dikhaa.ee deta hai
Buraa na maaniye logon kee aib-jooee kaa
Unhen to din kaa bhee saayaa dikhaa.ee deta hai
Ye ek abr kaa TukDaa kahaan kahaan barse
Tamaam dasht hee pyaasaa dikhaa.ee deta hai
Vaheen pahunch ke giraa.enge baadbaan ab to
Vo duur koi jazeera dikhaa.ee deta hai
Vo alvidaa.a kaa manzar wo bheegtee palken
Pas-e-ghubaar bhee kya kya dikhaa.ee deta hai
Miree nigaah se chhup kar kahaan rahegaa koi
Ki ab to sang bhee sheesha dikhaa.ee deta hai
SimaT ke rah ga.e aakhir pahaaD se qad bhee
Zameen se har koi oonchaa dikhaa.ee deta hai
Khilee hai dil men kisee ke badan kee dhoop 'shakeb'
Har ek phuul sunahraa dikhaa.ee deta hai
Jahan talak bhi ye sahra dikhai deta hai
Meri tarah se akela dikhai deta hai
Na itni tez chale sar-phiri hawa se kaho
Shajar pe ek hi patta dikhai deta hai
Bura na maniye logon ki aib-jui ka
Unhen to din ka bhi saya dikhai deta hai
Ye ek abr ka TukDa kahan kahan barse
Tamam dasht hi pyasa dikhai deta hai
Wahin pahunch ke giraenge baadban ab to
Wo dur koi jazira dikhai deta hai
Wo alwidaa ka manzar wo bhigti palken
Pas-e-ghubar bhi kya kya dikhai deta hai
Meri nigah se chhup kar kahan rahega koi
Ki ab to sang bhi shisha dikhai deta hai
SimaT ke rah gae aaKHir pahaD se qad bhi
Zamin se har koi uncha dikhai deta hai
Khili hai dil mein kisi ke badan ki dhup 'shakeb'
Har ek phul sunahra dikhai deta hai